Kare Arz Paish-E-Sultan Hai Kisi Ko Is Ka Yara ?

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz

Type bY

UJRRA_DIL

Kare Arz Paish-E-Sultan

Hai Kisi Ko Is Ka Yara ?

Keh Na Pa K Badshahi Too Gada Se Kar Kinara,

Ye Dikhai Kia Qayamat Mairi Jaan ?

Dosto'n Ko,

Rukh-E-Narm

Maah-E-Taban,

Dil-E-Sakhat,

Sang-E-Khara,

Wo Raqeeb Daiv Soorat Keh KHUDA Bachaye Us Sy,

Maddad Ay Shahab-E-Saqib,

Too Suha Ka Ho Sahara,

Kiye Khak Dil Jala K,

Wo Azar Tamtma K,

Jo Ba-Lutf Paish Aaye To Nahein Ho Kuchh Khasara,

Ghalti Na Kijiyo Payary Hai Firaib In Mein Pehna'n,

Mazz'Ha Siya Karein Gar

Mairy Qatal Par Ishara,

Yahi Intzar Shab Bhar Keh Naseem-E-Yaar Chal Kar,

Koi Laye Mazz'Ha Tar Keh Khuly Ye Dil Hamara,

Ba-KHUDA Pila Zara Si Keh Ye HAFIZ Sehar Khaiz,

Wo Dua Dy Tujh Ko Goya

Keh Hadaf Py Teer Mara.....!

.

Book Deewan-E-Hafiz

Page 58

Ghazal Mumber 11

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo