Kash Main Ek Phool Hota Kali Se Main Gulab Banta

 

 

POET UMAR RAAHI

Type By

UJRRA_DIL 

 

Kash Main Ek Phool Hota,

Kali Se Main Gulab Banta,

Kisi Bagh Mein Mehkta,

Koi Reshmi Hath Mujhe Torta,

Sajati Phir Apny Balo'n Mein,

Kho Jati Payary Khayalo'n Mein,

Khailta Mein Kaali Kaali Zulfo'n Sy Phir,

Aag Lagata Tan Man K Andar,

Soonghny Ko Jo Lagati Naak Sy,

Honto'n Sy Ik Payar Ka Jaam Peeta,

Kash Mein Ik Phool Hota,

Sajta Kisi K Gajry Mein,

Rehta Kisi K Hatho'n K Pehry Mein,

Mehkata Kisi Ka Sehan,

Sajata Kisi Ka Aangan,

Kash Keh Aisa Hota,

Kash Main Ik Phool Hota,

Mandlati Mujh Py Koi Titli,

Ban Jati Mairi Koi Sahaili,

Gati Mairy Geet Bulbul,

Macha Apni Aawaz Ki Halchal,

Sajta Kisi Shehzadi Ki Saij Py,

Sharart Karta Usi Ki Saij Py,

Kahein Sajta Kisi Ki Marqad Py,

Murjha K Apni Khushboo Khota,

Kaaash Main Ik Phool Hota.......!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo