Khamoshi Unglian Chatkha Rahi Hai Teri Aawaz Ab Tak

POET NASIR KAZMI


Type bY

UJRRA_DIL


Khamoshi Unglian Chatkha Rahi Hai,


Teri Aawaz Ab Tak Aa Rahi Hai,


Dil-E-Wehashi Liye Jata Hai Lekin,


Hawa Zanjeer Si Pehna Rahi Hai,


Tairy Shehar-E-Tarbb Ki Ronqon Mein,


Tabbiyat Bhi Ghabra Rahi Hai,


Karam Ay Sar-Sar-E-Aalaam-E-Doran,


Dilon Ki Aag Bujhti Ja Rahi Hai,


Karry Kosoon K Sunaty Hain Laikin,


Tairi Aawaz Ab Tak Aa Rahi Hai,


Tanaab-E-Kheema-E-Gul Tham NASIR,


Koi Aandhi Uffq Sy Aa Rahi Hai......!


Book

Barg-E-Nay


Page 60

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai