Kise Dekhein Kahan Daikha Na Jaye Wo Dekha Hai Jahan Dekha Na Jaye

POET NASIR KAZMI


Type bY

UJRRA_DIL


Kise Dekhein Kahan Daikha Na Jaye,


Wo Dekha Hai Jahan Dekha Na Jaye,


Meri Barbadion Par Rone Wale,


Tujhe Mahoo-E-Faghaan Daikha Na Jaye,


Zameen Logon Sy Khali Ho Rahi Hai,


Ye Rang-E-Aasman Daikha Na Jaye,


Safar Hai Aur Ghurbbat Ka Safar Hai,


Gham-E-Sadd

Karwaan Daikha Na Jaye,


Kahein Aag

Aur Kahein

Laashon K Anbar,


Bs Ye Dor-E-Zamaan

Daikha Na Jaye,


Dar-E-Deewar Veeran

Sham'Ma Madham,


Shab-E-Gham

Ka Samaan Daikha Na Jaye,


Purani Suhbatein Yad Aa Rahi Hain,


Charaghon Ka Dhowan Dekha Na Jaye,


Bhari Barsat Khali Ja Rahi Hai,


Sar-E-Abr-E-Rawan Daikha Na Jaye,


Kahein Tum Aur Kahein Hum, K?a Ghazab Hai,


Faraq-E-Jisam-O-Jaan Dekha Na Jaye,


Wohi Jo HASIL-E-HASTI Hai

NASIR,


Usi Ko Mehrban Daikha Na Jaye......!

.

Book

Barg-E-Nay


Page 56 57

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha