Na Aankhein Hi Barsi Na Tum Hi Mile Baharon Mein Ab K Naye Gul Khile

Poet NASIR KAAZMI


Type bY

UJRRA_DIL


Na Aankhein Hi Barsi Na Tum Hi Mile,


Baharon Mein Ab K Naye Gul Khile,


Na Jane Kahan Le Gaye Qafle ?


Musafir Bari Door Ja Kar Mile,


Wohi Waqat Ki Qaid Hai Darmian,


Wohi Manzalain Aur Wohi Fasle,


Jahan Koi Basti Nazar Aa Gai,


Wahein Ruk Gaye Ajnabi Qafle,


Tum Hi Dil Garfta Nahi Dosto,


Humain Bhi Zamane Se Hain Kuch Gile,


Humein Bhi Karein Yad Ehl-E-Chaman,


Chaman Mein Agar Koi Ghancha Khile,


Abhi Aur Kitni Hai Mayaad-E-Gham ?


Kahan Tak Milein Gy Wafa K Sily....?


Book

Barg-E-Nay


Page 42 43

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai