Poet Khawaja Hafiz Sheeraz
Type bY
UJRRA_DIL
Phir Hai Ronq Pe Shabaab Az Sar-E-No Bastan Ka,
Gul Ki Aamd Pe Tarb
Bulbul-E-Khush Al Haan Ka,
Gar Jawanaan-E-Chaman Mein Ho Guzar Poochh Mazaj,
Mairi Janib Sy Saba Saro-O-Gul-O-Raiha'n Ka,
Zulf-E-Mashkein K Meh-Rukh Py Tumhari Choga'n,
Maztrab Hal Na Kar Dein Kisi Sar-Garda'n Ka,
Haye Wo Log Jo Hain Dard Kasho'n Par Khanda'n,
Sarf Karty Hain Kharabat Py Kyoun Eman Ka ?
Sath Mardan-E-KHUDA Ka Bhi Samjh Kashti-E-Nooh, A.S
Jis Mein Zary Ko Dar Aur
Ik Qatra Nahein Toofa'n Ka,
Bhag Ja Khawan-E-Tawaaz'A Sy Falak K Aakhir,
Ye Siya Kasa Urra Daita Hai Sar Mehma'n Ka'
May-Faroshi Karein Gy Bachy Is Thath K Sath,
Shughal Jaroobi May-Khana Karo'n Mizga'n Ka,
Raz-E-Hasti K Na Ik Nuqta Par Aagahi Ho,
Chhan Lein Dor Bhi Agar Daira Imka'n Ka,
Ja K Sona Hai Bil'Aakhir Jo Teh Bister-E-Khak,
Kheenchy Taba Falak Kingra Kyoun Ewaan Ka,
Miser Ka Takhat Hai Laiq Tairy Maah-E-Kin-Aa'n,
Chhorr Shayaan Nahein Rehna Tujhy Is Zinda'n Ka,
Zulf-E-Janaa'n K Hai Kaya Sar Mein Samaya Soda ?
Hal Bikhra Hai Jo Youn
Gaisoo-E-Mashak Afsha'n Ka,
Malik-E-Aazadgi
Aur Kanj-E-Qanait Hai Wo Ganj,
Jis Py Qabza Nahein Chalta Hai Kisi Sulta'n Ka,
May Bhi Pee Rind Bhi Reh
Chain Mana Par HAFIZ,
Dhoky Bazi Ko Bana Jaal Na Too Quran Ka....!
Book Deewan-E-Hafiz
Page 57 58
Gzl Number 10
Comments
Post a Comment