Shehr Dar Shehr Jalaye Gaye Youn Bhi Jashan-E-Tarab Manaye Gaye

POET NAZIR KAZMI

Type bY

UJRRA_DIL

Shehr Dar Shehr Jalaye Gaye,

Youn Bhi Jashan-E-Tarab Manaye Gaye,

Ek Taraf Jhoom Kar Bahar Aai,

Ek Taraf Aashiyan Jalaye Gaye,

Ik Taraf Khoon-E-Dil Bhi Tha Nayyab,

Ik Taraf Jashan-E-Jamm Manaye Gaye,

Kaya Kaho'n Kis Tarah

Sar-E-Baazar,

Assmto'n K Diye Bujhaye Gaye,

Aah Woh Khalwato'n K Sarmaye,

Majma-E-Aam Mein Lutaye Gaye,

Waqat K Sath Hum Bhi Ay NASIR,

Khaar-O-Khas Ki Tarah Bahaaye Gaye........!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo