Soofi Jhatak K Nikla Hai Aaina Jaam Ka

Poet Khawaja Hafiz Sheeraz

Type bY

UJRRA_DIL

Soofi Jhatak K Nikla Hai Aaina Jaam Ka,

Qail Ho To Safa-E-May-E-Lala Faam Ka,

Raaz-E-Nehfita Poochh Too Rindan-E-Masat Sy,

Rutba Nahein Ye Soofi-E-Aalm-E-Muqaam Ka,

Anqa Shikar Hoga Na

Bas Daam Kheench Ly,

Hasil Bajaz Hawa Nahein

Kuchh Ehl-E-Daam Ka,

Matt Chhorr Aish Naqad

Kiya Tark Ikhtiyar,

Aadum Ny Qehat-E-Dana Sy

Daarul-Islaam Ka,

Ik Do Jaam-E-Bzam Pee Kar Rawana Ho,

Pata Kisi K Naam Nahein Yahan Dawam Ka....!

Ay Dil Shabaab Aa K Gaya By-Gul-E-Murad,

Peeri Mein Bhi Hai Khabbt Wahi

Nang-O-Naam Ka,

Us K Bhi Tujh Py Hain

Haq-E-Khidmat Hazar'Ha,

Daikh Aankh Bhar K

Hall Too Sahib Ghulam Ka,

HAFIZ Mureed-E-Jaam Huwa

Shaikh-E-Jaam Ko,

Pohncha Salaam Ja K Saba Is Ghulam Ka.....!


Translation By

KASHIF NADEEM

Book Deewan-E-Hafiz

Page 57

Ghazal Num 9

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo