Wo Pas Tha To Mujhe Manzalein Dekhata Tha

 

Poet Wasif Ali Wasif 

 

Wo Pas Tha To Mujhe Manzalein Dekhata Tha,

Juda Howa To Wo Khud Raste Se Bhatka Tha,

Main Chal Raha Hon Magar Fasle Nahi Mite,

Ye Hadsa Bhi Meri Zindagi Mein Hona Tha,

Wo Bheer Thi K Nazar Se Nazar Na Milti Thi,

Hajoom-E-Shehr Mein Aadmi Akela Tha,

Taras Raha Hai Ab Ek Boond Ki Anayat Ko,

Wo Aadmi Jo Samandar Ki Teh Mein Rehta Tha,

Ghalat K Us K Yahan Aag Bhi Na Jalti Thi,

Ghalat K Sara Dhowan Mere Ghar Se Nikla Tha,

Chalo Gir Hi Gai Apne Bojh Se Deewar,

Chalo K Sirf Isi Bat Ka To Jhagra Tha,

Wo Aik Lamha Jo Sadian Nikal Gia,

WASIF

Wo Lamha Waqt Ne Khud Aasteen Mein Pala Tha.............!

 

Page 19 (S.B.) 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo