Ye Shab Ye Khayal-O-Khawab Tere Kia Phool Khile Hain

POET NASIR KAZMI

Type bY

UJRRA_DIL

Ye Shab Ye Khayal-O-Khawab Tere,

Kia Phool Khile Hain Moonh Andhere ?

Shualy Mein Aik Rang Taira,

Baqi Hain Tamam Rang Mairy,

Aankho'n Mein Chhupaye Phir Raha Ho'n,

Yaado'n K Bujhy Huye Sawairy,

Daity Hain Suragh

Fasal-E-Gull Ka,

Shakho'n Py Jaly Huye Basairy,

Manzil Na Mili To Qaflo'n Ny,

Rasty Mein Jama Liye Hain Dairy,

Jangl Mein Hui Hain Sham Hum Ko,

Basti Sy Chaly Thy Mun'h Andhairy,

Rawadad-E-Safar Na Chhairr NASIR,

Phir Ashk Na Tham Sakein Gy Mairy.......!

.

Book Barg-E-Nay

Page 47,48

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo