Posts

Showing posts from January, 2014

Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jain Jitane Kam Zarf Hain Mehafil Se Nikale Jain

Image
    Poet Rahat Indori    Intazamaat Naye Sire Se Sambhale Jain, Jitane Kam Zarf Hain Mehafil Se Nikale Jain, Mera Ghar Aag Ki Lapton Mein Chupa Hia Lekin, Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujale Jain, Gham Salamat Hai To Peete Hi Rahe Gaye Lekin, Pehle Maikhane Ki Halat Sambhale Jain, Khali Waqton Mein Kahein Baith K Ro Lein Yaro, Fursatein Hain To Samandar Hi Kan Gaale Jain, Khak Mein Youn Na Mila Zabt Ki Toheen Na Kar, Ye Wo Aanson Hain Jo Dunia Ko Baha Le Jain, Hum Bhi Pyase Hain Ye Ahasas To Ho SAQI Ko, Khali Sheeshe Hi Hawaon Mein Uchale Jain, Aao Shehr Mein Naye Dost Banain Quot RAHAT Quot, Asteeno Mein Chalo Sanp Hi Paale Jain...................!     

Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai

Image
    Poetess Noshi Gilani    Sukhan Aarai Baqi Rah Gai Hai, Yehi Sachai Baqi Rah Gai Hai, Sajana Chahte Thay Bazm-E-Shab Ko, Magar Tanhai Baqi Rah Gai Hai, Chale Thay Shoq-E-Manzal Le K Hum Bhi, Shikasta Pai Baqi Rah Gai Hai, Gharoor-E-Zindagi Banne Ko Ab To, Meri Ruswai Baqi Rah Gai Hai, Zameen K Sare Manzar Chup Gaye Hain, Magar Beenai Baqi Rah Gai Hai..................!   Page 31,32   

Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham-E-Jaan Hona

Image
    Poetess Noshi Gilani    Gar Nahi Jashn-E-Wafa Jashn-E-Gham-E-Jaan Hona, Hum Ne Seekha Hi Kahan Be Sar-O-Samaan Hona, Ye Ajab Kaifiat-E-Ajaz-O-Riya Kaari Hai, Phir Usi Halqa-E-Yaraan Pe Mehrbaan Hona, Ab To Hathon Mein Koi Faisla-E-Ishq Nahi, Kaisi Tasleem-O-Raza Kaisa Gurezaan Hona, Raah Mein Sang-E-Mulamat Hai To Hairat Kia Hai, Aap K Shehr Mein Kia In Se Pareshaan Hona, Roshni Ki Koi Tasveer Saja Deta Hai, Aik Azad Parinde Ka Ghazal Khawaan Hona............!   Page 29,30  

Kise Khabar Thi K Ye Dil Ka Haal Hona Tha

Image
    Poetess Noshi Gilani    Kise Khabar Thi K Ye Dil Ka Haal Hona Tha, Tumhain Ganwa K Humain Bhi Malaal Hona Tha, Humare Waste Rasta Koi Bacha Kab Tha, Wohein Thay Zakham Wohein Ind Maal Hona Tha, Main Tera Naam Likhon Khushboin Si Jal Uthein, Ye Mojza Bhi Mere Khush Jamal Hona Tha, Wohi Badan K Jise Tazgi Muqadar Thi, Kise Khabar Thi K Youn Paimal Hona Tha, Kabhi Gulab Si Mehkein Kabhi Charagh Jalein, Sukhan K Bab Mein Ye Bhi Kamal Hona Tha, Kamal-E-Sada Dili Hai K Badgumani Hai, Tumhare Lab Pe Bhi Koi Sawal Hona Tha, Hawa-E-Shehr Ne Rakha Bahut Udas Magar, Mera Yaqeen-E-Mohabbat Bahaal Hona Tha................!   Page 27 To 28   

Sheir Kehne Ki Zaroorat Bhi Gai Is Mushaqat Mein Mohabbat Bhi Gai

Image
    Poetess Noshi Gilani    Sheir Kehne Ki Zaroorat Bhi Gai, Is Mushaqat Mein Mohabbat Bhi Gai, Ishq Mein Had Se Guzar Jane Ki, Ab Wo Dareena Rawayat Bhi Gai, Arsa-E-Khawab Mein Gum Rehte Thay, Rat Se Ab Wo Sahoolat Bhi Gai, Lazat-E-Wehshat-E-Dil Bhi Na Rahi, Ishq Se Wo Aqeedat Bhi Gai, Harf-O-Maani Se Lagao Na Raha, Wo Sukhan Saz Tabeeat Na Raha, Wo Sukhan Saz Tabiat Bhi Gai, Dil Se Jata Raha Ahsaas-E-Wafa, Aur Wo Pehli Si Mohabbat Bhi Gai...................!   Page 25 To 26   

Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain;

Image
    Poetess Noshi Gilani    Sabhi Jazbe Badalte Ja Rahe Hain, K Jaise Khawab Marte Ja Rahe Hain, Koi Din K Liye Dil K Makeen Ko, Nazar Andaz Karte Ja Rahe Hain, Jo Dil Ka Haal Hai Dil Janta Hai, Ba Zahir To Sambhalte Ja Rahe Hain, Chale To Hain Tumhare Shehr Se Hum, Kaf-E-Afsos Milte Ja Rahe Hain, Kabhi Jin Mein Gharoor-E-Tazgi Tha, Wo Khuddo Khal Dhalte Ja Rahe Hain......................!   Page 23 To 24   

Hashar Ka Samaan Rehta Hai Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai

Image
    Poetess Noshi Gilani   Hashar Ka Samaan Rehta Hai, Ya Wasl Ka Imkaan Rehta Hai, Is Raste Se Us Ki Gali Tak, Aik Charaghan Rehta Hai, Barf Pe Dhoop Ka Jism Bhi Dekho, Din Bhar Raqsan Rehta Hai, Khaima-E-Sham Saja Lete Hain, Jashan Ka Samaan Rehta Hai, Dil K Liye To Harf-E-Dua Mein, Dard Ka Darmaan Rehta Hai, Jane Ki Ki Khoj Mein Tera, Deeda-E-Hairaan Rehta Hai, Rat Dhale Ek Khawab Ka Chehra, Roz Paishmaan Rehta Hai............!   Page 21 To 22   

Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna

Image
    Poetess Noshi Gilani    Mohabbat Ki Aseeri Se Rehai Mangte Rehna, Bahut Aasan Nahi Hota Judai Mangte Rehna, Zara Sa Ishq Kar Lena Zara Si Aankh Bhar Lena, Phir Us K Bab Mein Sari Khudai Mangte Rehna, Kabhi Mehroom Honton Par Dua Ka Harf Rakh Dena, Kabhi Wehshat Mein Us Ki Narsai Mangte Rehna, Wafaon K Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jati Hai, Kahani Mein Zara Si Bewafai Mangte Rehna, Ajab Hai Wehshat-E-Jaan Bhi K Aadat Ho Gai Dil Ki, Sakoot-E-Sham-E-Gham Se Hum Nawai Mangte Rehna, Kabhi Bache Ka Nanhe Hath Par Tittli K Par Rakhna, Kabhi Phir Us K Rangon Se Rehai Mangte Rehna..............!   Page 19,20   

Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain

Image
    Poetess Noshi Gilani    Hawa K Hathon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain, Ye Phool Khushbo Ki Raigani Se Dar Gaye Hain, Humain Bhi Rukhsat Ki Rasam Kuch To Banana Thi, Tumhari Aankhon Mein Aaye Pani Se Dar Gaye Hain, Ye Tere Jitne Fiza Mein Aa Kar Tehr Gaye Hain, Kisi Parinde Ki Be Zabani Se Dar Gaye Hain, Unhein Bhi Daria Mein Apni Kashti Utarna Thi, Jo Log Lehron Ki Sar Garani Se Dar Gaye Hain, Ye Hum Jo Shehr-E-Wafa Mein Gum Sum Khare Howay Hain, Phir Aik Taza Ghalat Biyani Se Dar Gaye Hain, Abhi To Dil Ko Udas Karti Nahi Hain Shaamein, Humain Bhi Sahil Pe Geet Likhna Thay Sipion Se, Magar Hawaon Ki Mehrbani Se Dar Gaye Hain...........!   Page 17 To 18   

Nat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye Jitna Dushwar Ho Jeena

  Poetess Noshi Gilani    ======= NAAT =======   Naat Likhne Ka Agar Mujh Ko Qareena Aa Jaye, Jitna Dushwar Ho Jeena Mujhe Jeena Aa Jaye, Us Safar Mein Kabhi Thakte Nahi Dil Aur Paon, Jis Safar Mein Kahein Ahsas-E-Madeena Aa Jaye, Doobne Walo Kabhi Dil Se Pukaro To Unhain, Khud Bhanwar Le K Kinare Pe Safeena Aa Jaye, Aisi Rehmat Ki Ghari Bhi Koi Aa Sakti Hai, Main Madeene Mein Rahon Mujh Mein Madina Aa Jaye, Mujh Gunah Gaar Bhikaran Ki Yehi Janat Hai, Un (S.A.W.W) Ki Nisbat Ka Mere Hath Ka Khazeena Aa Jaye, Ho To Sakta Hai Agar Aap (S.A.W.W) Karam Farma Dein, Meri Aankhon Se Mere Dil Mein Madeena Aa Jaye.............! Book Pehla Lafz Mohabbat Likha   Page 12   

Dil Lagaya Tha Dil Lagi K Liye Ban Gia Rog Zindagi K Liye Lyric

Image
Singer Attaullah Khan Typ By *.__Ayaz Khan__.* Dil Lagaya Tha Dil Lagi K Liye, Ban Gia Rog Zindagi K Liye, Too Na Ho Sath To Jiain Kaise, Hum To Zinda Hain Dosti K Liye, Jaan-E-Man Jaan-E-Jaan Wafa Ki Qasam, Dil Dharrkta Hai Aap Hi K Liye, Yaad Hain Aaj Tak Wo Beete Din, Chaand Nikla Tha Chandni K Liye, Jurm Samja Jsse Zamane Ne, Pyaar Manga Tha Do Gharri K Liye, Aap Ki Maang Mein Sitare Hain, Hum Taraste Hain Roshni K Liye, Tum Farishton Ki Baat Le Bethe, Hum Taraste Hain Aadmi K Liye, Tere Wadon Ki Laag Rakhni Thi, Gham Sehainge Teri Khushi K Liye, Hum Ko Apna Bana K Chorr Diya, Ye Munasib Na Tha Kaisi K Liye, Ban Gaya Rog Zindagi K Liye, Dil Lagaya Tha Dillagi K Liye..........!

Dukh De Kar Sawal Karte Ho Tum Bhi GHALIB Kamal Karte Ho

Image
  Poet Mirza Ghalib   Dukh De Kar Sawal Karte Ho, Tum Bhi GHALIB Kamal Karte Ho, Dekh Kar Pooch Lia Haal Mera, Chalo Kuch To Khayal Karte Ho, Shehr_E_Dil Mein Ye Udasian Kaisi? Ye Bhi Mujh Se Sawal Karte Ho? Marna Chahain To Mar Nahi Sakte, Tum Bhi Jeena Mahaal Karte Ho, Ab Kis Kis Ki Misal Don Tum Ko, Har Sitam Be Misal Karte Ho.............!  

Too Bhi Kuch Pareshan Hai Too Bhi Sochti Ho Gi Tere Naam Ki Shuhrat

Image
    Poet Sahir Ludhianvi    Too Bhi Kuch Pareshan Hai, Too Bhi Sochti Ho Gi, Tere Naam Ki Shuhrat, Tere Kaam Kia Aai, Main Bhi Kuch Pasheman Hon, Main Bhi Ghor Karta Hon, Mere Kaam Ki Azmat, Mere Kaam Kia Kaam Aai, Tere Khawab Bhi Soone, Mere Khawab Bhi Soone, Teri Meri Shuhrat Se, Tere Mere Gham Doone, Too Bhi Ek Sulagta Bun, Main Bhi Ek Sulagta Bun, Teri Qabar Tera Fann, Meri Qabar Mera Fann, Ab Tujhe Main Kia Don Ga, Ab Mujhe Too Kia De Gi, Teri Meri Ghaflat Ko, Zindagi Saza De Gi, Too Bhi Kuch Pareshan Hai, Too Bhi Sochti Ho Gi, Tere Naam Ki Shuhrat, Tere Kaam Kia Aai, Main Bhi Kuch Pasheman Hon, Main Bhi Ghor Karta Hon, Mere Kaam Ki Azmat, Mere Kaam Kia Aai...........!   Page 203,204   

Main Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz

  Poet: Ayaz Khan  Type By  *.__Ayaz Khan__.*   Main Ourat Zaat Thehri Mujhe Masjid Nahi Jaaiz, Mujhe Mila Nahi Wo Muqam Jis Pe Huwy Mard Faaiz, Main Aaj Bhi Qaid Hon, Muqadar Meri Tanhaiyaan, Izzat Lutti Hy Mairi Milti Hain Mujhe Ruswaiyaan, Mard Zaat Ne Bana Rakha Hai Mujhe Khilona, Kabhi Pair Ki Juti Kabhi Bestar Ka Bechona, Sadiyon Se Mairi Izzat Hoti Rahi Taar Taar, Main Roti Rahi Par Suni Na Meri Kisi Ne Pukaar, Kabhi Rajaoon Ki Rahi Kaneez Kabhi Mandaroon Ki Dasi, Mere Dil Main Rahein Hasratein Aor Mairi Rooh Rahi Piyaasi, Kab Mile Gi Mujhe Rasam-E-Riwaaj Se Aazaadi? Ya Daolat Ke Liye Hoti Rahe Gi Mairi QURAN Se Shaadi? Main Ourat Zaat Hon Aor Beqasoor Hon, Main Ourat Zaat Hon Shayat Is Liye Majboor Hon...............!!!   ********************* NOMI *********************  

ishq ki raah main saath chale thy dono

Image

phir dast-e-hunar koi, mere naqsh sawaren

Image
 

mumkin hy kisi din tujhe pathar se nikalon

Image

kuch aise be-basi ne hy rakha bharm mera

Image
 

pehle suna charaagh-o-hawa ka mukalma

Image

hamare dil pe likha hy kisi soorat na bholy ga

Image

kaifiyat hy ye jisam-o-jaan main kia

Image

hon kion na pashemaan dar-o-deewar hamare

Image

ab ke beenaai bhi preshan hy

Image

tum muhabbat kabhi nahi karna

Image

khudaya ka mi mor jannat ke na vi

Image
 

ab na dekhe ga tumhara raasta

Image

tu na khabaradu khpal naaz pa khoob uda ye grane (pushto poetry)

Image

is baat se taskeen mil rahi hy mujhe

Image

dunya wale bhi zid pe qaim hain

Image

maire dast-e-dua main tum bhi

Image

rang-o-khushbo pursa dene aae hain

Image

starge de we watale na we (pushto poetry)

Image

warzam hamzolo che raweekh ye kram pa meena bande

Image