Chashm-E-Saqi K Isharaat Ki Batein Chero

 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Chashm-E-Saqi K Isharaat Ki Batein Chero,

Fasal-E-Gul Mein To Karamaat Ki Batein Chero,

Kuch Madawa Karo Mahol Ki Tareeki Ka,

Kuch Dar Khashanda RawaYat Ki Batein Chero,

Naqal Moozon Hon To Asal Mein Dhal Jati Hai,

Nahi Barsat To Barsat Ki Batein Chero,

Deir-O-Kaba Ki Hadeeson Se Majrooj Karo,

Aadmiat K Kharabat Ki Batein Chero,

Main Tumhari Nigeh-E-Gheez Ka Manzar Khainchon,

Tum Meri Wehshat-E-Jazbat Ki Batein Chero,

Dil Kashi Hai Bhi Koi Khushk Haqaiq Mein,

ADDAM

Main To Kehta Hon HakaYaat Ki Batein Chero..............!

Page 172 To 173

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo