Dil Tera Dard Sada Mangta Hai

Ye Dia Khud Se Hawa Mangta Hai

 

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Dil Tera Dard Sada Mangta Hai,

Ye Dia Khud Se Hawa Mangta Hai,

Aise Manga Tujhe Tujh Se Main Ne,

Jaise Insan Dua Mangta Hai,

Dasht Ki Dhoop Jala De Us Ko,

Mera SaYa Bhi Saza Mangta Hai,

Dil Hai Be Rakht Musafir Lekin,

Qurb-E-Sultan-E-Hara Mangta Hai,

Chandni Misl-E-Kafan Utri Hai,

Kon Maqtal Mein Qabaa Mangta Hai?

Saamri Sanp Hain Wehmo K Hajoom,

Shoq Moosa Ka Asaa Mangta Hai,

Be Sada Shehr Mein Rah Kar MOHSIN,

Sheir K Kehne Ka Sila Mangta Hai.....................!

Page 108

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai