Hum Tera Hijar Manane K Liye Nikle Hain

 

 

Poet John Elia


Type By

*.__Ayaz Khan__.*


Hum Tera Hijar Manane K Liye Nikle Hain...*


Shehr Mein Aag Lagane K Liye Nikle Hain...*


Shehr Kochoon Mein Karo Hashr-Bapa Aaj K Hum...*


Ass K Wadon Ko Bhulane K Liye Nikle Hain...*


Hum Se Jo Ruth Gia Hai Wo Bahut Hai Masum...*


Hum To Auron Ko Manane K Liye Nikle Hain...*


Shehr Mein Shoor Hai Wo Yun Ko Gumaan K Safri...*


Apne Hi Aap Mein Aane K Liye Nikle Hain...*


Wo Jo The Shehr-E-Taheer Tere Pur Fan Mamaar...*


Wohi Pur Fan Tujhe Dhane K Liye Nikle Hain...*


Rahguzar Mein Teri Qaleen Bechane Wale...*


Khoon Ka Farash Bechane K Liye Nikle Hain...*


Humain Karna Hai Khudawand Ki imdaad So Hum...*


Deer-O-Kaba Ko Larrane K Liye Nikle Hain...*


Sar-E-Shab Ek Nai Tamseel Bapa Honi Hai...*


Aur Hum Parda Uthane K Liye Nike Hain...*


Humain Seraab Nai Nasal Ko Karna Hai So Hum...*


Khon Mein Apne Nahane K Liye Nikle Hain...*


Hum Kahem K Bhi Nahi Par Ye Hai Rodad Apni...*


Hum Kahen Se Bhi Na Jane K Liye Nike Hain.......!


Book: Gummaan


Page: 23 to 24


Ghazal: 4

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai