Justajoo Mein Teri Phirta Hon Na Jane Kab Se

 Aabla Pa Hain Mere Sath Zamane Kab Se

 

 

Poet Mohsin Naqvi 

 

Justajoo Mein Teri Phirta Hon Na Jane Kab Se,

Aabla Pa Hain Mere Sath Zamane Kab Se,

Main K Qismat Ki Lakeerein Bhi Parha Karta Tha,

Koi Aaya Hi Nahi Hath Dekhane Kab Se,

Nematein Hain Na Azabon Ka Tasalsul Ab To,

Mujh Se Rukh Phair Lia Mere Khuda Ne Kab Se,

jan Chirakte Thay Kabhi Ghazalaan Jin Par,

Bhool Bethe Hain Shikari Wo Nishane Kab Se,

Wo To Jangal Se Hawaon Ko Chura Lata Tha,

Us Ne Seekhe Hain Diye Ghar Mein Jalane Kab Se?

Shehr Mein Parvarish-E-Rasm-E-Janoon Kon Kare?

Youn Bhi Jangal Mein Hain Yaron K Thikane Kab Se,

Aankh Rone Ko Tarasti Hai To Dil Zakhmo Ko,

Koi Aaya Nahi Ahsan Jatane Kab Se,

Jin K Sadqe Mein Basa Karte Thay Ujre Howe Log,

Lut Gaye Hain Sar-E-Sehra Wo Gharane Kab Se,

Log Be Khof Gareban Ko Khula Rakhte Hain,

Teer Chora Hi Nahi Dast-E-Qaza Kab Se,

Jane Kab Toot K Barse Gi Mulamat Ki Ghata?

Sar Jhukaye Howay Bethe Hain Deewane Kab Se,

Jin Ko Aata Tha Kabhi Hashar Jagana,

MOHSIN

Bakht-E-Khufta Ko Na Aaye Wo Jagane Kab Se.............!

Page 13 To 132 (T) 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai