Kal Kahein Tujh Se Bhi Acha Tera Beemar Na Ho

 

 

Poet Abdul Hameed Addam 

 

Kal Kahein Tujh Se Bhi Acha Tera Beemar Na Ho,

Itne Sangeen Taghaful Ka Guna Gaar Na Ho,

Zindagi Mein Bhi Sakoon Dhoonte Ho Deewano,

Zindagi Kia Hai Jo Chalti Ho Talwar Na Ho,

Aap Ki Bat K Mafhoom Kai Hote Hain,

Aap Ki Haan Kahein Hum Mani Inkar Na Ho,

Rat To Nisaf Se Zaid Hai Magar Dar Ye Hai,

Is Gaye Waqt Bhi Darban Kahein Bedar Na Ho,

Barhami Mein Jo Halawat Hai Sajawat Mein Kahan,

Zulf Hi Kia Jo Aashfta-O-Kham Daar Na Ho,

Shamma Mein Kia Hai Jo Deta Hai Patange Ko Fareb,

Us K Parde Mein Tera Shola-E-Rukhsar Na Ho,

Khalq Ruk Jaye Gi Na Gaah Tamashe K Liye,

Mujh Se Is Darja Khafa Bar Sar-E-Bazar Na Ho,

Dil Ko Le Aata Hon Bazar Se Wapas Har Roz,

Is Tarha Ka Bhi ADDAM Qahat Khareed Na Ho............!

Page 12 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo