Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha

 

Poet Wasi Shah 

 

Khali Kaghaz Pe Harf Sajaya Karta Tha,

Tanhai Mein Shehr Basaya Karta Tha,

Kaisa Pagal Shakhs Tha Sari Sari Rat,

Deewaron Ko Dard Sunaya Karta Tha,

Ro Deta Tha Aap Hi Apni Baton Par,

Aur Phir Khud Ko Aap Hansaya Karta Tha,

Jalne Lagti Thi Laho Mein Judai To Ro Deta,

Tanhaion Ki Khak Uraya Karta Tha,

Kachi Umar Ka Pyar Usay Le Dooba,

WASI

Jo Logon Ko Pyar Karna Shikhaya Karta Tha..................! 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha