Mohabbat Ko Kahan Fikar-E-Kahan Ziyan-O-Sood Hota Hai


 

Poet Abdul Hameed Addam

 

Mohabbat Ko Kahan Fikar-E-Kahan Ziyan-O-Sood Hota Hai,

Ye Darwaza Humare Shehr Mein Masdood Hota Hai,

Mere Ehsas Ki Takhleeq Hai Jo Kuch Bhi Hai Saqi,

Jise Mehsoos Karta Hon Wohi Mojood Hota Hai,

Yahan Tak Kheinch Lai Hai Muravat Ghamgusar Ki,

K Ab Jo Dard Uthta Hai Wo La Mehdood Hota Hai,

Khird Bhai Zindagi Ki Kehkashan Ka Ek Satara Hai,

Magar Ye Wo Satara Hai Jo Na Masood Hota Hai,

ADDAM Jab Bhi Tanhai Mein Us Ko Yad Karta Hon,

Mujhe Mehsoos Hota Hai K Wo Mojood Hota Hai.................!

Page 175 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo