Ab Mai Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab

Dolat-E-Husn Pe Darban Betha Rakha Hai

 

 

Poet Wasiq Ali Athar 

 

Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sab Se Juda Rakha Hai,

Goya Seene Mein Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai,

Dil Ye Chahe K Too Kabhi Badnam Na Ho,

Dekh Zikar Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai,

Mere Jis Hath Se Kia Tha Too Ne Musafha,

Dhoya Hi Nahi Honton Se Laga Rakha Hai,

Ab Mai Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab

Dolat-E-Husn Pe Darban Betha Rakha Hai,

Juda Ho Gaye Hain To Phir Kia Howa,

WASIQ

Teri Tasveer Ko Seene Mein Saja Rakha Hai.............! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai