Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So jana

 

 

 

 

Poet Hanshoo Malik 

 

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So jana,

Abhi To Rat Qaqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Ghari Bhar Ko Dil-E-Nadan

Sambhal Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Ye Jalte Hont Aur Neend Mein Doobi Hoi Aankhein,

Mujhe Sone Nahi Deti Tumhari Adh Khuli Aankhein,

Zara Thehro Mujhe Bhi Neend Aa Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Ghari Bhar Ko Dil-E-Nadan

Sambhal Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Meri Aagosh Mein Aa Kar Na Lo Madhosh Angrai,

Kahi Bahka Na De Mujh Ko Ye Angrai Ye Tanhai,

Ye Tanhai Mohabbat Mein Badal Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqi Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Hansi Ho Tum Tumhain Kia Gham,

Tumhein To Neend Pyari Hai,

Hansi Ho Tum Tumhein Kia Gham,

Tumhain To Neend Pyari Hai,

Humara Haal Mat Poocho K,

Hum Par Rat Bhaari Hai,

Humare Sar QaYamat Hai,

Ye Tal Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqii Hai Ye Dhal Jaye To So Jana,

Gharri Bhar Ko Dil-E-Nadan Sambhal Jaye To So Jana,

Abhi To Rat Baqii Hai Ye Dhal Jaye To So Jana...........! 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai