Dar Shab Ka Wahan Kion Na Bhala Taiz Bahut Ho?

 

 

Poet Mohsin Naqvi

Type bY

UJRRA_DIL

Dar Shab Ka Wahan Kyoun Na Bhala Taiz Bahot Ho?

Jis Ghar Mein Diya Aik,

Hawa Taiz Bahot Ho,

Sadiyon K Musafir Bhi Palat Aaein Ge Ik Roz,

Ye Shart K Riftar-E-Sada Taiz Bahot Ho,

Hath Us Ne Maire Khoon Mein Tar Kar Liye Aakhir,

Khawahish Thi Use Rang-E-Hina Taiz Bahot Ho,

Dunya Ki Hos Phir Mujhe Barfab Na Kar De,

Ay Garmi-E-Ahsah-E-Ana Taiz Bahot Ho,

Sooraj Uter Aaya Hai Maire Sar Pe Keh MOHSIN,

Sehra Ne Kaha Aabla Pa Taiz Bahot Ho..........!

Book Kulyat-E-Mohsin

Page 1105

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo