Dil Dharakny Pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye Laash Ehsaas Ki Sooli Pe Charha Di Jaye

 

 

Poet: Shahzad Qais

 

Dil Dharakny Pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye


Laash Ehsaas Ki Sooli Pe Charha Di Jaye



Zeyhn Ki Jaama Talashi Ka Bna Kr Qanoon


Sochnay Walon Ko Moqay Pe Saza Di Jaye



Aarzoo Jo Karay Deewano Main Kr Do Shamil


Khawab Jo Daikhay Usay Jail Dikha Di Jaye



Jaan Bachanay Ka Patangon Ki Bahana Kr Ky


Shama Jalnay Say Bhi Kuch Pehly Bojha Di Jaye



Roaz Khud Soziyon Say Uththti Hai Hum Par Uungli

 KhudKushi Jo Kary Gardan Hi Urra Di Jaye


Rah Batlanay , Madad Karnay Ki Aadat Na Parray

 Rasta Poochnay Pe Qaid Barrha Di Jaye


Log Khushbo Ky Taaqub Main Nekal Parrtay Hain


Phool Par Daikhtay Hi Goli Chala Di Jaye


Saans Lainay Kay Bhi Oqaat Moqarar Kr Ky


Ha'bss Dar Ha'bss Ko Dowzakh Ki Hawa Di Jaye


Kaam Tehreer Mitanay Ka Buhat Barhnay Laga

 

 Naaray Likhay Hon Tu Deevar Gera Di Jaye


Jabray Haalaat Say Har Shakhs Ko Majno Kr Ky


Bhiirr Main Qais Ki Aawaaz Daba Di Jaye

 

===============

Nomi's Collection's

===============

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo