Dil Dukhta Hai Aabad Gharon Se Door Kahein

 

 

Poet Mohsin Naqvi


Type bY

UJRRA_DIL


Dil Dukhta Hai Aabad Gharon Se Door Kahein,


Jab Banjar Ban Mein Aag Jale,


Dil Dukhta Hai,


Pardais Ki Bojhal Rahon Mein,


Jab Sham Dhale,


Dil Dukhta Hai,


Jab Raat Ka Qatil Sunata,


Pur Hol Faza K Waham Kiye,


Qadmon Ki Chap K Sath Chale,


Dil Dukhta Hai,


Jab Waqat Ka Nabeena Jogi,


Kuchh Hanste Baste Chahre Par,


Be Dard Ruton Ki Rakh Male,


Dil Dukhta Hai,


Dil Dukhta Hai,


Jab Sheh Rag Mein Mehroomi Ka,


Nashter Toote,


Dil Dukhta Hai,


Jab Hath Se Resham Rishton Ka,


Daman Choote,


Dil Dukhta Hai,


Jab Tanhai K Pahloo Se,


Anjane Dard Ki Lay Phoote,


Dil Dukhta Hai,


Dil Dukhta Hai,


Zardab Ruton K Saye Mein,


Jab Phool Khilein,


Jab Zakham Dahkne Wale Hon,


Aur Khushboo K Paigham Milein,


Aur Apne Dareedha Daman K,


Jab Chaak Silein,


Dil Dukhta Hai,


Jab Aankhein Khud Se Khawab Bunein,


Khawabon Mein Base Chahron Ki,


Jab Bheer Lage,


Us Bheer Mein Jab Tum Kho Jao,


Dil Dukhta Hai,


Jab Habs Barhe Tanhai Ka,


Jab Khawab Jalein,


Jab Aankh Bujhe,


Tum Yaad Aao,


DIL DUKHTA HAI...........!


Book Kulyat-E-Mohsin


Page 655 657

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai