Dilon Ko Barf Karti Raigani Se Nikal Aaye

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Dilon Ko Barf Karti Raigani Se Nikal Aaye,

Koi Kaise Mohabbat Ki Kahani Se Nikal Aaye,

Usay Bas Aik Pal Ko Dekhna Tha Bat Karna Thi,

Magar Wo Ashk-E-Sada Jo Rawani Se Nikal Aaye,

Yaqeen Tha Umar Lag Jaye Gi Is Hairani-E-Gham Mein,

Magar Hum Sham-E-Wehshat Ki Girani Se Nikal Aaye,

Bahut Majboor Rehte Thay Bahut Maroor Rehte Hain,

Tumhare Shehr Ki Kaj Bayani Se Nikal Aaye,

Kahein To Silsila Tehre Badan Ki Is Musafat Ka,

Kabhi To Be Ghari Ki Mehrbani Se Nikal Aaye,

Kahein Tareek Shab Mein Yad K Jugno Chamakte Hain,

K Jaise Seep Koi Gehre Pani Se Nikal Aaye..............!

Book

Pehla Lafz Mohabbat Likha

Page 58

==============

Nomii Collection

==============

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo