Hussn-E-Yousaf K Kharidaar Kahan Se Laon



Hussn-E-Yousaf K Kharidaar Kahan Se Laon,


Mein Yahan Missr Ka Bazar Kahan Se Laon,?


Zakham Dou Chaar Agar Houn tou Chupa Kr Rakhon,


Dill Mein Gunjaish-E-Yalghaar Kahan Se Laon?


Ye Tou Mumkin Hai tere jaisa Maseeha Mill jaye,


Apne Dill K jaisa Beemar Kahan Se Laon...?


Mujh Ko tasleem Hain Duniya K taqaaze Lekin,

,

Aik Hi Dill Hai Mein Dou Chaar Kahan Se Laon


Jhoot K Bha0 jahan Such Ki Zubaa'n Bikti Hai,

,

Mein Wahan Such Ka talabgaar Kahan Se La0un...?

,

Mein Houn insaan tou insaan Hi Mujhe Samjho tum Bhi,

,

Mein farishton Ka Sa Kirdaar Kahan Se Laon? 

 


================

Nomi Collection

================

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo