Kaisi Taskeen-E-Aarzo Karna

Kis Liye Teri Justajoo Karna

 

Poetess Noshi Gilani 

 

Kaisi Taskeen-E-Aarzo Karna

Kis Liye Teri Justajoo Karna,

Pehle Aankhon Ko Nam Kiye Rakhna,

Aur Phir Dil Ko Bawazoo Karna,

Mout Likhna Mere Moqaddar Mein,

Arsa-E-Sham Ko Lahoo Karna,

Aik Deewar-E-Gham Utha Lena,

Aur Phir Us Se Guftagoo Karna,

Tittlion K Paron Ko Choo Lena,

Is Tarha Jashn-E-Rang-O-Karna,

Wehshat-E-Raqs-E-Dil Shab-E-Tanha,

Ishq Ko Aise Sur Kharoo Karna,

Waqt K Akhtiar Mein Kab Hai,

Jazba-E-Dil Teri Namoo Karna.............!

Book

Pehla Lafz Mohabbat Likha

Page 71 To 72

==============

Nomii Collection

==============

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai