Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista

 

 

Poet Parveen Shakir


Typ By 

 

*.__Ayaz Khan__.*


Khule Gi Us Nazar Pe Chashm-E-Tar Aahista Aahista.


Kiya Jata Hai Pani Mein Safar Aahista Aahista.


Koi Zanjeer Phir Wapas Waheen Par Le K Aati Hai.


Kathin Ho Rah To Chhuta Hai Ghar Aahista Aahista.


Badal Dena Hai Rasta Ya Kaheen Par Beth Jana Hai.


K Thakta Jaa Raha Hai Humsafar Aahista Aahista.


Kallish K Sath Is Dil Se Na Meri Jaan Nikal Jaye.


Khinche Teer-E-Shanasai Magar Aahista Aahista.


Hawa Se Sar-Kashi Mein Phool Ka Apna Ziyaan Dekha.


So Jhukta Ja Raha Hai Ab Sar Aahista Aahista.........!


Book: Kudkalami


Page: 17


Ghazal: 5


=================

Nomi Collection

=================

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo