Mein Hoon Aik Ajeeb Sapera

Naagh Paalna Kaam Hai Mera

 

 

Poet Muneer Niazi

SAPERA

Typ By

*.__Ayaz Khan__.*

Mein Hoon Aik Ajeeb Sapera

Naagh Paalna Kaam Hai Mera,

Peele Peele Kalay Kalay,

Rang Barnge Dhaboon Walay,

Shuloon Si Phunkaroon Walay,

Zehrili Mehkaroon Walay,

In Ki Aankhen Teez Nasheeli,

Gehri Jheeloon Aisi Neeli Neeli,

Naye Lahoo Se Laal Zubanen,

Jise Mout Ki Rangeen Taneen,

Makhmal K Rumalon Jise,

Surkh Gulabi Galoon Jise,

Mujh Ko Takte Rehte Hain Ye,

Mujh Ko Daste Rehte Hain Ye,

Mujh Par Hanste Rehte Hain Ye.................!

Book:

Jangal Main Dhanak

Page 43

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo