Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi

 

 

Poet UMAR RAAHI

Type bY

UJRRA_DIL 

 

Muasam-E-Bahar Hai Mgar Too Mere Sath Nahi,

Badal Bijli Ka Sath Hai Mgar Too Pas Nahi,

Ashk Baras Rahe Aankh Se Rim Jhim Rim Jhim,

Ashk Poonch Ly Jo Aisa Koi Hath Nahi,

Dil Ro Raha Is Muasam-E-Bahar Mein,

Chhupa Ly In Motiyon Ko Aisi Barsat Nahi,

Kale Badal Chhaye Hein Teri Zulf K Jese,

Aawara Zulf Hata Le Jo Karta Himat Hath Nahi,

Tim Tim Tapk K Gire Bondein Chehre Pe,

Kali Ghata Si Zulfon Ki Barsat Nahi,

Ro Lo In Barishon Mein RAAHI,

Rahe Ab K Dil Mein Koi Aas Nahi........!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo