Sataron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain

 , Abhi Ishq K Imtihaan Aur Bhi Hain

 

 

Poet Allama Iqbal 

 

Sataron Se Aage Jahan Aur Bhi Hain

Abhi Ishq K Imtihaan Aur Bhi Hain,

Tehi Zindagi Se Nahi Ye Faizaan,

Yahan Saikaron Karwaan Aur Bhi Hain,

Kana'at Na Kar Aalam-E-Rang-O-Boo Par,

Chaman Aur Bhi Aashiaan Aur Bhi Hain,

Agar Kho Gia Ek Nasheman To Kia Gham,

Maqamat-E-Ah-O-Fughaan Aur Bhi Hain,

Too Shaheen Hai Parwaz Hai Kaam Tera,

Tere Samne Aasman Aur Bhi Hain,

Esi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Reh Ja,

K Tere Zameen-O-Makan Aur Bhi Hain,

Gaye Din K Tanha Tha Main Anjuman Mein,

Yahan Ab Mere Razadan Aur Bhi Hain....................! 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo