Teri Mohabbat Se Inkar Nahi

Is Dil Mein Tere Siwa Koi Dildar Nahi

 

 

Poet UMAR RAAHI

Type bY

UJRRA_DIL 

 

Teri Mohabbat Se Inkar Nahi

Is Dil Mein Tere Siwa Koi Dildar Nahi,

Barson Raha Jis Ki Jistjoo Mein,

Ab Karna Mujhe Aur Intzar Nahi,

Ban Kar Aao Meri Ab To Dulhan,

Guzrta Tanha Ab K Muasam-E-Bahaar Nahi,

Kali Ghata Si Zulf Bikher Do Bister Par,

Umer Bhar Sath Dena Din Do Char Nahi,

Honton Se Mila Kar Hont Pila Do Jaam-E-Shabab,

May Kade Ki Sharab Mein Aisa Khumar Nahi,

Sula Do Apni Makhmli Bhahon Mein,

In Se Barh Kar Aur Koi Gale Ka Haar Nahi,

Khelon Tere Ang Ang Se Kuch Youn Main,

Ho Jaein Hum Aik Rahein Hum Aghyar Nahi,

UMAR Ko Thi Kab Se Teri Talash,

RAAHI Ko Ab Kisi Ka Raha Intzar Nahi..........!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo