Zakhm Ki Baat Na Kr Zakhm Tu Bhar Jata Hai, Teer Lehjay Ka Kalaijay Main Utar Jata Hai

 

Poet: Shahzad Qais

 

Zakhm Ki Baat Na Kr Zakhm Tu Bhar Jata Hai


Teer Lehjay Ka Kalaijay Main Utar Jata Hai


Mauj Ki Maut Hai Saahil Ka Nazar Aa Jana


Shauq Katra Kay Kinaray Say Guzar Jata Hai



Shobda Kaisa Dikhaya Hai Maseehaee Ny


Saans Chalti Hai , Bhalay Aadmi Mar Jata Hai



Aankh Na Jhapkoon Tu Sab Naag Samajhty Hain Mujhy


Gar Jhapak Loon Tu Yeh Jeewan Yun Guzar Jata Hai



Mandaron Main Bhi Duaen Tu Suni Jati Hain!


Ashk Beh Jain Jidhar , Maula Udhar Jata Hai



Husn Afza Hoi Ashkon Ki Sonehri Barkha


Phool Barsaat Main Jis Tarah Nikhar Jata Hai



Ghaliban Takht Pe Jinnat Ka Sayah Ho Ga!


Kuch Tu Hai Har Koi Aatay He Mukar Jata Hai



" Aisi " Batain Jo " Akelay " Main Na " Deewana " Kary


Badshah Woh Bharay Darbaar Main Kr Jata Hai


Gar Na Likhon Main Qaseeda Tu Hai Talwar Aqrab


Sar Bacha Loon Tu Mera Zauqay Hunar Jata Hai



Qais ! Gar Aaj Hain Zinda Tu Junoon Zinda Baad!


Sochny Wala Tu Is Daur Main Mar Jata Hai.........!!!

 

 =============

 Nomi's Collections

=============

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo