Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Ajeeb Rut Thi K Har Chand Pas Tha Wo Bhi,

Bahut Malool Tha Main Bhi Udas Tha Wo Bhi,

Kisi K Shehr Mein Ki Guftagoo Hawaon Se,

Ye Soch Kar K Kahein Aas Pas Tha Wo Bhi,

Hum Apne Za'am Mein Khush Thay Us Ko Bhool Chuke,

Magar Guman Tha Ye Bhi Qayas Tha Wo Bhi,

Kahan Ka Ab Gham-E-Dunia Kahan Ka Ab Gham-E-Jaan,

Wo Din Bhi Thay Humain Ye Bhi Raas Tha Wo Bhi,


FARAZ

Tere Gareban Pe Kal Jo Hansta Tha,

UsaY Mile To Dareeda Libas Tha Wo Bhi...............!

Page 16 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai