Bara Mazhabi Bara Parsa

 Bara Deen Daar Hai Aaj Kal

 

 

 

 

Poet Kaif Bhopali 

 

Typ By 

 

*.__Ayaz Khan__.* 

 

Ye Mizaj-E-Yar Ko Kia Howa Unhen Mujh Se Pyar Hai Aaj Kal.

Meri Justoju Meri Guftogu Mera Intazar Hai Aaj Kal.

Wo Tere Khatoot Nikaalna Kabhi Dekhna Kabhi Chomna.

Yahi Mashghala Yahi Silsila Yahi karobar Hai Aaj Kal.

Aise Qatal Kar Use Qatal Kar Tujhe Sath Khoon Maf Hain.

Teri Saltanat Tera Dabdaba Tera Iqtadar Hai Aaj kal.

Are KAIF Kal To Too Rind Tha

Mere Yar Tujh Ko Ye Kia Howa,

Bara Mazhabi Bara Parsa

Bara Deen Daar Hai Aaj Kal.......!

 

=============

Nomi Collection

=============

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo