Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat

 

 

Is Main Shamil Dasht-o-Sahra Aor Veerany Ki Baat 

Ahl e Mehfil Se Juda Hai Tere Deewanay Ki Baat

Muhtasib Hum Be-Gunahon Ko Na De Ilzaam e Mai

Tishnagi Mein Aa Gai Honton Pe Maikhane Ki Baat

Haan Abhi Bhooli Nahi Jor e Khizaan Ki Dastaan

Ikhteyatan Hum Nahi Karte Bahaar Aane Ki Baat

Ban Gai Hai Surkhi e Husn e Bahaar Javedaan

Aa Gai Zulf e Mua'amber K Bikhar Jane Ki Baat

Har Nafs Mein Shoula-Zan Hain Garmiyan Halaat K

Zindagi Hai Inn Dinon Be-Mout Mar Jane Ki Baat

Maikada Badla Hoa "SAGHAR" Shikasta Haal Hai

Har Haqeeqat Ban Gai Hai Aaj Afsane Ki Baat

Saghar Siddiqui


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai