Na To Phool Khilte Hain Na Hi Mousam Badalte Hain

 

 

Na Tou Phool Khiltay Hain Na Hi Mousam Badaltay Hain
Wahan Tou Kuch Nahi Hota Jahan Par Tum Nahi Hote
Yahan Waise Tou Har Soghaat Aasaani Se Milti Hai
Mera Bas Dil Nahi Lagta Jahan Par Tum Nahi Hote
Yahan Tou Log Sadion Ko Bhi Lamhon Mein Badaltay Hain
Mera Ik Pal Nahi Kat'ta Jahan Par Tum Nahi Hote
Sabab Ronay Ka Woh Poochein Tou Qasid Itna Keh Dena
Mujhe Hansna Nahi Aata Jahan Par Tum Nahi Hote


Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai