Dard Kam Hone Laga
Aao Keh Kuch Rat Kate

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Dard Kam Hone Laga,

Aao Keh Kuch Rat Kate,


Gham Ki Meyad Barha Jao,

Keh Kuch Rat Kate,


HIJAR Mein Aah-O-Buka Risam-E-Kehan He Lekin,


Aaj Ye Risam Hi Duhrao Keh

Kuch Rat Kate,


Youn To Tum Roshni-E-Qalab-O-Nazar Ho Lekin,


Aaj Wo Muajiza Dikhlao Keh,

Kuch Rat Kate,


Dil Dukhata He Wo Mil Kar Bhi Mgar Aaj Ki Rat,


Usi Be Dard Ko Le Aao Keh

Kuch Rat Kate,


Dam Ghuta Jata He Afsrida Dili Se Yaro,


Koi Ufwah Hi Phelaon Keh,

Kuch Rat Kate,


Main Bhi Bekar Hon,

Aur Tum Bhi Ho Veeran Bahot,


Dosto Aaj Na Ghar Jao Keh,

Kuch Rat Kate,


Chhorr Aaye Ho Sar-E-Sham Use Kyoun NASIR ?


Use Phir Ghar Se Bulao K

Kuch Rat Kate.........*

.

Book Deewan

Page 102

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo