Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon Raqs Farmao Mein Sharabi Hon

 


Poet Saghar Suddiqui

Jhoom K Gaao Mein Sharabi Hon,

Raqs Farmao Mein Sharabi Hon,

Aik Sajda Banam-E-Mekhana,

Doston Aao Mein Sharabi Hon,

Loog Kehte Hain Raat Beet Chuki,

Mujh Ko Samjaho Mein Sharabi Hon,

Aaj In Rishmi Ghataon Ko,

Youn Na Bikhrao Mein Sharabi Hon,

Hadse Roz Hote Rehte Hain,

Bhool Bhi Jao Mein Sharabi Hon,

Mujh Pe Zahir Hai Aap Ka Batin,

Muh Na Khulwao Mein Sharabi Hon........!

Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 136

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai