Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Koi Soorat Aashna Apna Na Begana Koi,


Kuch Kaho Yaro Ye Basati He Keh Veerana Koi ?


Subha Dam Dekha To Sara Bagh Tha Gul Ki Taraf,


Shama K Taboot Par Roya Na Parwana Koi,


Khalwaton Mein Roye Gi Chhup Chhup K Laila-E-Ghazal,


Is Bayaban Mein Na Ab Aaye Ga Deewana Koi,


Ham Nasheen Khamosh Deewarein Bhi Sunati Hain Yahan,


Raat Dhal Jaye To Phir Cherein Ge Afsana Koi........!

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha