Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai

 

Poetess Noshi Gilani


Mohabbat Se Riha Hona Zaroor Ho Gia Hai,

Mera Tujh Se Juda Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Wafa K Tajarbe Karte HowaY To Umar Guzri,

Zara Sa Bewafa Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Meri Aawaz Tanhai Mein Marti Ja Rahi Hai,

Kisi Ka Hum Nawa Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Azab-E-Zulmat-E-Shab Hai K Ab Apne Labon Par,

Koi Harf-E-Dua Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Kahan Tak Hum Onhi Bojhal Fizaon Mein Rahein Gay,

Koi Ek Faisla Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Bhanwar Mein Kai Barson Se Apni Kashti-E-Jaan,

Kisi Ka Na Khuda Hona Zaroori Ho Gia Hai,

Yahan Charon Taraf Khof Barhta Ja Raha Hai,

Sukhan Na Aashna Hona Zaroori Ho Gia Hai..............!

Page 65,66

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai