Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon, Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon



Poet: Shayar Ali Shayar


Talkhiyoon Ko Chaashni Kaise Kahoon,
Zulmatoon Ko Chaandni Kaise Kahoon


Be-Dili Afsardgi Har Aan Hai,
 Be-Bassi Ko Zindagi Kaise Kahoon


Khaslatain Aor Aadtain Haiwaan Ki,
Bherriye Ko Aadmi Kaise Kahoon


Aasta'n Par Izatein Jo Loat Lay,
Uss Darindy Ko Wali Kaise Kahoon


Muskuraya Tha Mujhe Vo Dekh Kar,
 Aashna Ko Ajnabi Kaise Kahoon


Noor-E-Haq Se Dil Munawar Ho Gaya,
Roshni Ko Tairgi Kaise Kahoon


Hai Ibadat Aor Khuda Se Door To,
 Is Amal Ko Bandgi Kaise Kahoon


Dil Lagaty Hain Numaish Ke Liye,
Dil Lagi Ko Aashqi Kaise Kahoon


Lay Ke Dariya Piyaas Bujhti Hi Nahi,
 Is Hawas Ko Tishnagi Kaise Kahoon


Dagmagaye Maykashi "SHAAYAR" Tujhe,
 Be-Khudi Ko Main Khudi Kaise Kahoon.


Book

Wo Chhand Jaisa Shakhs


>>>>>>>>>>NOMI COLLECTION<<<<<<<<<<



Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha