Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai

Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai

 

 

Poet Nasir Kazmi


Type bY

UJRRA_DIL


Tere Aane Ka Dhoka Sa Raha Hai


Dia Sa Raat Bhar Jalta Raha Hai,


Ajab He Raat Se Aankhon Ka Aalam,


Ye Dariya Raat Bhar Charrhta Raha He,


Suna He Raat Bhar Barsa He Badal,


Mgar Wo Shehar Jo Payasa Raha He,


Wo Koi Dost Tha Achhe Dinon Ka,


Jo Pichhli Raat Se Yad Aa Raha He,


Kise Dhondo Ge In Galiyon Mein NASIR ?


Chalo Ab Ghar Chalein Din Ja Raha He..........!

 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo