Ab Shoq Se K Jan Se Guzar Jana Chahiye

 

 

Poet Ahmad Faraz

 

Ab Shoq Se K Jan Se Guzar Jana Chahiye,

Bol Aaye Hawa-E-Shehr...!

Kidhar Jana Chahiye,

Kab Tak Usi Ko Aakhri Manzal Kahein Gay Hum,

Koo-E-Murad Se Bhi Udhar Jana Chahiye,

Wo Waqt Aa Gia Hai K Sahil Ko Chor Kar,

Gehre Samandaron Mein Utar Jana Chahiye,

Ab Raftgan Ki Bat Nahi Karwan Ki Hai,

Jis Simt Bhi Ho Gird-E-Safar Jana Chahiye,

Kuch To Saboot-E-Khoon-E-Tamanna Kahein Mile,

Hai Dil Tahi To Aankh Ko Bhar Jana Chahiye,

Ya Apni Khawahishon Ko Muqadas Na Jante,

Ya Apni Khawahishon K Sath Hi Mar Jana Chahiye.........!

Page 33,34

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo