Chalo Usi Se Kahein Dil Ka Haal Jo Bhi Ho

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Chalo Usi Se Kahein Dil Ka Haal Jo Bhi Ho,

Wo Chara Gar To Hai Us Ko Khayal Jo Bhi Ho,

Usi K Dard Se Milte Hain Silsale Jaan K,

Usi K Naam Laga Do Malaal Jo Bhi Ho,

Mare Na Haar K Hum Qais-O-Kohkan Ki Tarha,

Ab Aashiqi Mein Humari Misal Jo Bhi Ho,

Ye Rahguzar Pe Shammain Damakti Jati Hain,

Usi Ka Qamat-E-Zeba Hai Chaal Jo Bhi Ho,

FARAZ Us Ne Wafa Ki K Bewafai Ki,

Jawab Deh To Humain Hain Sawal Jo Bhi Ho...........!

Page 68 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai