Chasham-E-Saqi Ki Anayat Pe Pabandi Hai

 

 

Poet Saghar Saddiuqi

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

Chasham-E-Saqi Ki Anayat Pe Pabandi Hai,

In Dino Waqt Pe Halaat Pe Pabandi Hai,

Bikhri Bikhri Hoi Zulfon K Fasane Cherro,

May-Kasho Ehd-E-Kharbaat Pe Pabandi Hai,

Dil Shikan Ho K Chale Aaye Teri Mehfil Se,

Teri Mehfil Main To Har Baat Pe Pabandi Hai,

Dard Utha Hai Lahoo Ban K Uchalne K Liye,

AaJ Tak Kehte Hain K Jazbaat Pe Babandi Hai,

Har Tamana Hai Koi Dubta Lamha Jise,

Saaz Maghmom Hain Naghmat Pe Pabandi Hai,

Kehkashaan Baam-E-Suraia K Tale Soi Hai,

Chaand Be Rang Sa Hai Raat Pe Babandi Hai,

Aag Seeno Main Lagi SAGHAR-O- Meena Chalke,

Koi Kehta Tha K Barsat Pe Pabandi Hai.........!

Book:

Kuliyat e Saghar

Page: 213

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha