Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal

 

Poet Ahmad Faraz 

 

Dard Ki Rahein Nahi Aasan Zara Ahista Chal,

Aye Sabak Rawa-E-Hareef-E-Jaan Zara Ahista Chal,

Manzalon Par Qurb Ka Nasha Hawa Ho Jaye Ga,

Humsafar Wo Hai To Aye Nadaan Zara Ahista Chal,

Na Muradi Ki Thakan Se Jism Pathar Ho Gia,

Ab Sakat Kaisi Dil-E-Weeran Zara Ahista Chal,

Jam Se Lab Tak Hazaron Laghzashein Hain Khush Na Ho,

Ab Bhi Mehroomi Ka Hai Imkaan Zara Ahista Chal,

Aaye Hawa-E-Manzal-E-Jana Zara Ahista Chal,

Is Nagar Mein Zulf Ka Saya Na Daman Ki Hawa,

Aye Ghareeb-E-Shehr-E-Naparsaan Zara Ahista Chal,

Aabla Pa Tujh Ko Kis Hasrat Se Takte Hain,

FARAZ

Kuch To Zalim Pas-E-Humrahaan Zara Ahista Chal................!

Page 83,84 

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo