Gham-E-Dil Ko In Aankhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai Lyric

 

 

 

Singer Farhia Parvez 

 

Gham-E-Dil Ko In Aankhon Se Chalak Jana Bhi Aata Hai,

Tarapna Bhi Humain Aata Hai Tarpaana Bhi Aata Hai,

Kisi Ki Yad Mein Jo Zindagi Hum Ne Guzari Hai,

Humain Wo Zindagi Apni Mohabbat Se Bhi Pyari Hai,

Howay Hum Roo Ba Roo Dastan Apni Sunain GaY,

Kuch Apna Dil Jalain Gay Kuch Un Ko Aazmain Gay,

Sir-E-Mehfil Humain To Shamma Ban Jana Bhi Aata Hai,

Dabe Paon Humain Aa Kar Kisi Ka Gud Guda Lena,

Wo Apna Rooth Jana Aur Wo Un Ka Mana Lena,

Wo Manzar Jhankte Hain Aaj Bhi Yadon Ki Chilman Se,

Bhula Sakta Hai Kaise Koi Wo Andaz Bachpan K,

Humein Guzri Hoi Baton Ko Duhrana Bhi Bata Hai,

Humain Aata Nahi Hai Pyar Mein Be Aabro Hona,

Sikhaya Husn Ko Hum Ne Wafa Mein Surkh Roo Hona,

Hum Apne Khoon-E-Dil Se Zindagi Ki Mang Bhar Den Gay,

Ye Dil Kia Cheez Hai Hum Apni Jan Bhi Qurban Kar Den Gaye,

Khilaf-E-Zabt-E-Ulfat Mein Hum Ko Mar Jana Bhi Aata Hai......!

 

 

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Wo mujh ko dastiyaab bari dair tak raha Main uska intkhaab bari dair tak raha