Hareem-E-Lafz Mein kis Darja Be Adab Nikla

 

Poet Iftakhar Arif

Type By

*.__Ayaz Khan__.*

 

Hareem-E-Lafz Mein kis Darja Be Adab Nikla.

Jis Najeeb Samjte The Kam Nasab Nikla.

Sapa-E-Sham K Neze Pe Aftaab Ka Sar.

Kis Ehtamam Se Prwardigar-E-Shab Nikla.

Humari Garmi Guftaar Bhi Rahi Be Sod.

Kisi Ki Chup Ka Bhi Matlab Ajab Ajab Nikla.

Baham Howe Bhi Mgr Dil Ki Wihshaten Na Gain.

Wesaal Mein Bhi Dilon Ka Ghubar Kab Nikla.

Abhi Utha Bhi Nahi Tha Kisi Ka Dast-E-Karam.

K Sara Shehr Liye Kasa Talab Nikla........!

INTIKHAB:

Book Bahaar e Ghazal

Page: 83

==============

Nomiii Collection

==============

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo