Jalad Dia Shajar-E-Jaan K Sabz Bakhat Na Tha

 

 

Poetess Parveen Shakir


Type By

*.___HIJAR___.*


Jalad Dia Shajar-E-Jaan K Sabz Bakhat Na Tha,


Kisi Bhi Rutt Mein Haraa Ho Ye Wo Darkht Na Tha,


Wo Khawab Dekha Tha Shehzadion Ne Pichle Pehr,


K Us K Bad Muqaddar Mein Taaj-O-Takht Na Tha,


Zara Se Jabar Mein Bhi To Toot Sakti Thi,


Meri Tarha Se Tabiat Ka Wo Bhi Sakht Na Tha,


Mere Liye To Wo Khanjar Bhi Phool Ban K Utha,


Zaban Sakht Thi Lehja Kabhi Karakht Na Tha,


Andheri Raton K Tanha Musafron K Liye,


Dia Jalta Howa Koi Saz-O-Rakht Na Tha,


Gaye Wo Din K Mujhi Tak Tha Mera Dukh Mehdood,


Khabar K Jaisa Ye Afsana Lakht Lakht Na..................!


Page 15,16


Mazeed Poetry Lene K Liye


Follow HIJJAR

Send 8002

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai