Kuch Aisa Mahal To Nahi Hai

Deedar Wasal To Nahi Hai

Dil Le K Badal Gaye Nigahein

Poet Naseer-o-Deen Naseer

Kuch Aisa Mahal To Nahi Hai,

Deedar Wasal To Nahi Hai,

Dil Le K Badal Gaye Nigahein,

Ye Muft Ka Maal To Nahi Hai,

Be Wajha Wo Mehrbaan Hai Kion Kar,

Dekho...! Koi Chaal To Nahi Hai,

Shikwa Karon Bewafaion Ka,

Meri Ye Majal To Nahi Hai,

Furqat Ka Jawab Humnasheeni,

Izat Ka Sawal To Nahi Hai,

Har Bat Ko Kal Pe Talte Ho,

Wada Hai Wabal To Nahi Hai,

Kion Karte Ho Khoon Aarzo Ka,

Tum Par Ye Halal To Nahi Hai,

Is Darja Na Ho Sitam Pe Nazaan,

Ye Koi Kamaal To Nahi Hai,

Dekho To NASEER Dil Ki Janib,

Gudri Mein Ye Laal To Nahi Hai.....................!

Page 26 

Comments

Popular posts from this blog

Mujh Se Meri Umar Ka Khasara Poochtay Hein Ya'ani Log Mujh Se Tumhara Poochtay Hein

Ik Main Pheeki Chaah Naein Peenda Doja Thandi Chaah Naein Peenda

Hum Ne Tujhe Jana Hai Faqat Teri Aata Se Woh Hamdia Kalam Jis Ki Aawaz Aur Kalam Ko Allama Iqbal Se Mansoob Kia Jata Hai